Tuesday, April 19, 2016

Netaji ki Rally

                                             Hamare desh ke ek samaj sudharak sriman papuji chandi ek bar desh me pad rahe sukhe ki chintame dube vichar me khoye huye the, ushi shan unake man me vichar aya ki jahan par sukha pada hai waha jakar pristithi ka muaina karana chahiye. Phir usi ke liyye maharashtra ke nanded stit ek chotese gao me unka agman huwa. Unake ane ki varta pure ilake me fail gayi. Phir kya tha us ilake ke sare neta, party ke karyakarta bhi unake sath ho liye, un logone papuji ke sath paidal yarta bhi ki. Papuji es andaj me chal rahe the jaise o ab mahtma gandhi hai aur, jaise mahatma ji ne dandi ka satyagrah kiya tha ab papuji bhi unake nakshe kaddam par chal kar pani ka satyagrah karane chale the. Chalte chalte ek gao me unaka karwa ruka, gao me pani ki kami ki stiti janane ke liye gao ke sabhi logon ko bulaya gaya. Gao me jadatar budhe hi log the, jo naujavan the wo to pune, ya mumbai chale gaye the. To kuch samay bad gao pancayat suru hui. Papuji apni alag saili me bhasan ki suruvat karate huye. " to mere bhaiyo aur bahano", mai janata hun ki es gai me pani ki kami hai, to aap logo se binati karata hun ki aap ek ek karake apne sujav de taki hum apke sujav se apki madat kar sake. Ek kala sa bhuda khada huwa, " dekho sab hamar gao ma pine ka pani nahi hai, aur pani ki uplabdhata ke khatir sarkar kono hamari sahayta hi nahi karat hai.

 Papuji: acha tumhare gai me sukha hai. 
Budha: ji malik bilkul suka hai.
 Papuji: kitana suka hai 
Budha: ji malik bahut jada. Itana sukha hai ki hume das das dine nahane ko pani nahi milata.
 Papuji: matlab tum nahate nahi ho. 
Budha : nahate to hai par pani ki kamise nahana band ho chuka hai. 
Papuji: tum logo ko pine ke liye pani milata hai. 
Bhudha: ji milata hai, 
Papuji: kon deta hai pine ko pani.
 Budha: lalan baiya dete hai.
 Papuji: acha lalan tumhe muft me pani deta hai ya paise leta hai.
 Budha: muft nahi malik, paise leta hai
 Papuji: kitane paise leta hai
Budha: lagbhag 20 rupaye ek din ke. 
Papuji: 20 rupaye leta hai, to din bhar pani deta hoga na.
 Budha: ji nahi ek bar hi deta hai.
 Papuji: kitane log hai es gao me. 
Bhudha: 90 log hai.
 Papuji: matlab jadha nahi hai, in 90 logo me karib kitane hai. 
Budha: sub log garib hai malik.
 Papuji: tumhe kaise malum ki ye log garib hai.
 Budha: ji sublog batate hai ki wo garib hai.
 Papuji: tumhare pass koi sabut hai, jo sabit kar sake ki tumlog garib ho. 
Budha: ji nahi. 
Papuji: phir mai kaise man lu ki tun log garib ho. Acha is gai ka mukhiya kon hai 
Budha : ye hai malik aaj kal pani ki kami ki vajah se sarab pikar basera kar raha hai. Ab tak logo ke piche chupkar sunane wala mukiya papuji ke samane aa jata hai.
 Papuji: acha to tum ho es gao ke mukiya.
 Mukhiya: ji mai hi hun.
 Papuji: tum sarab pite ho.
 Mukhiya: ji han.
 Papuji: kyu pite ho 
Mukhiya: ji mujhe acha lagta hai.
Papuji: sarab pina acha lagta hai, to kitane rupaye ki sarab pithe ho ek din me.
 Mukhiya: ji 50 rupaye ki.
 Papuji: yahan sarab sashti milati hai matlab. 
Mukhiya: ji nahi, sarab to mehangi hai, lekin hum swadeshi ka adar karate hai.
 Papuji: gao me sukha pada hai aur tum sarab pikar gulchare uda rahe ho.
 Mukhiya: nahi malik hum sarkar ki sahayta kar rahe hai. 
Papuji: acha to tum sarkari ki sahayta ke liye sarab pite ho. 
Mukhiya: mai akela nahi malik pura gao sarkar ki sahayta karata hai.
 Papuji: wo kaise. 
Mukhiya: malik yahan par ek pani ke glass ki kimat 20 rupaye hai. To hum logon ne socha 20 rupaye dekar pani pine se bahtar sarab pikar apni pyass bujhaye.
 Papuji: acha. Lekin tumane sukhe ki jankari sarkar ko kyu nahi di. 
Mukhiya: jankari dekar kuch hashil nahi hoga isliye hum chup chap baithe rahe. 
Papuji: kya matlab. 
Mukhiya: sarkar ko hamare sukhe se jyada, kon bharat mata ki jay bolega aur kon nahi, issi mudhe ki chinta hai. To aap hi batai ye ki hum garib aur sukhe ke shikar ki kon sunega.
 Papuji: tumhare gao me pani ka jariya kya hai, matlab pani kahan se milata hai. 
Mukhiya: ab to nahi milta lekin pahle gao ke kunwe se milata tha.
 Papuji: kya ab wo kunwa nahi hai.
 Mukhiya: ji hai lekin pani nahi hai usame. 
Papuji: kunwa kitana bada hai.
 Mukhiya: bahot bada hai malik.
 Papuji: bada hokar bhi usame pani nahi hai.
 Mukhiya: ji,
 Papuji: usame pani kyu nahi hai.
 Mukhiya: ji barshat na hone ki wajah se. 
Papuji: ye barshat kon karata hai. 
Mukhiya: ji indradev karate hai. 
Papuji: to tumane indra dev ke khilaf koi complaint kyu nahi ki. 
Mukhiya: kya kare malik unka pata na hone ki wajah se daroga ne F I R lene se mana kar diya.
 Papuji: acha to tum daroga ko janate ho. 
Mukhiya: ji malik ache takrikese.
 Papuji: kitane di se janate ho. 
Mukhiya: takriban 10 sal se. 
Papuji: tumhe kaise yakin huwa ki wo daroga hai.
 Mukhiya: ji usane khaki wardi pahani thi.
 Papuji: isaka matlab tum har khaki vardi wale ko daroga manate ho.
 Mukhiya: ji. 
                         Ab mukhiya se batchit se papuji tang aa chuke the to bhid ko sambhodit karane lage. Mai janata hun ki tum shuke ke karan chintit ho, lekin mai tumase wada karata hun,aaj se, nahi abhi se hum indra dev ke khilaf morcha ka gathan kar rahe hai. Hum indra dev ke khilaf ek arji dekar bhagwan se binati karenge ki unaki jagah par koi ache bhagvan ki ni u kti ki jay. Aur iss mudhe par swayam indra dev ne istifa dena chahiye. Aur tum log chinta mat karo agar tumhe pine ke liya pani nahi milega to humari party muft me sarab ka intajam karegi. Aur han tumhare gao me ek badasa kunwa banakar usaka pani, tum logon ko chotisi rakam dekar kharidana padega. Rahi bat gao ke daroga ki to hum usaki dress change kar kar use ghagra chinari jaisa dress code banayenge. Yah bat sunkar papuji ke sath aye.party ke karyakarta ne jor se " bolo papuji bhaiya ki , sath me sub log jay bolana nahi bhule". Aur is tarah se papuji bhaiya har gai me jakar sub logo se sujhav dete rahe aur logo se sujhav lete rahe. - ----- papuji bhaiya ka suvarna andolan----- Padh ne ke liye thodas vai kijiye


 Santosh rathod 9623291857